How to Invest in the Stock Market on the Internet Review(Hindi)

#1
Sab ke Sab Chor hai (hoW TO INVST IN STOCK MRKT-REVIEW)

Hello guys .. I had found this artical very useful . This article is in hindi . Just read and understand it . It reveals the Dark side of Market.

A must for nerd trader:


----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Sab ke Sab Chor hai.........

Is Bazar me sab chor baithe huye hai ... ab yeh aap par nirbhar karta hai ki aap kitna bach paate hai... mai bhee share baazaar me nivesh/trade karta hoon... in sab choro se bachne kaa sabse achha tareeka yah hai ki aap unse apane trade sambandhit saari jaankari le bhale hi iski jaroorat aapko ho yaa naa ho... aur yadi ve koi jankari dene me aaana- kaani kare to in logoko RTI ki dhamaki de ... itne me to yah log raste par aa jaate hai...
shuruvaat me account kholne ke baad inka vyavhaar badal jaataa hai, aap sab ne mahsoos kiyaa hoga to aap apna bhee vyvhaar badal de, hamesha in se jara Rude hokar baate kare....
lekin account kholane ke pahle aap kuchh baate sunishchit kar le....
1. kabhi bhi DIAL & TRADE jaisi koi suvidhaa ke chakkar me naa pade ( agar aap TRADER ho to )

2. kam Brokerage hamesha suvidhaajanak nahee hoti...

3. in logo se T+1,2,3,4,5 , MARGIN aur M2M ke matlab pooch aur samajh le...

4. kabhi bhi jara si bhi dikkat ho to inke Branch/Area/ Regional/Zonal Head ke pass jaakar use Hadkane me jara bhee deri nahi kare( jab yeh log aapse beimaani karne me nahi darte hai to aap apane paise ke liye ladne me bhi naa dare " fir is baat ka koi farak nahee padhta hai ki yeh HARD EARNED MONEY yaa EASY EARNED MONEY " aakhirkaar yah aapki hi hai.....

5. yadi aap Online Trading kare to DIET ODIN jaisa hi koi software le... aapake broadband par yah VSAT ki tulna me keval 1/3 seconds ki deri se hi utaar- chadaav ( fluctuation) dikhataa hai ... jabaki koi doosri Browser Based application 2-3 seconds se lekar 5 minutes tak ki deri karti hai .... bhale hi woh ICICI Direct , Relaince Money ka INSTATRADE, Kotat kaa KEAT ho yaa fir Angel walo ka ANGEL TRADE ....

Vaise yah jo DIETODIN software hai yah wahi soft ware hai jo aap kisi bhi Broker ki Screen par Lal Neele utar chadavo ke sath dekhte hai... meri jaankaare ke anusaar abhi keval Angel Broking waale hi yah software de rahe hai par isake liye 2-3 hajaar / mahine ki kam se kam brokerage ki maang karte hai ...

6. kabhee bhee in logo ke BTST calls par dhyan naa de... yah sirf Brokerage Banane ki chaal hoti hai ....

7. FINALLY & MOST IMPORTANTLY , BUSINESS NEWS channel sabase bade chor hai, in Business News Channels par recommend kiye gaye Stocks par kabhi bhi apna paisa naa lagaye .... yah aksar keval unhi counters ki baate karte hai jo ki chal chuke hote hai... inki baat sunkar aap keval oopari staro par apna paisa fansa sakte hai aur kuchh nahi kar sakte hai...

PAISA KAMANE KAA SABASE SAHI TARIKA :-
Jab bhi koi Counter jaise Relaince , L& T , BHEL, ONGC, GAIL ,RCOM yaa aapaki pasand kaa koi bhi Counter jaise ki meri pasand NTPC , DLF, SAIL aur TTML hai ..... 3 se 10 % tak Correct ho jaave to us par apne paas uplabdh kul 40% pasia hi lagaye, aur yadi aapaka share 10% aur neeche aata hai to 35 % paisa aur lagaye... aur intzaar kare ... aap kabhi bhi ghata nahi kaatenge...

PAISA NAA GAVANE KAA SABASE SAHI TARIKA :-
aap yadi F& O me Trade karna chahate hai to kabhi bhi haa kabhi bhi kisi bhi Position ko carry naa kare bhale hi woh ASHOK LEYLAND hi kyu naa ho ( Jiska Span Margin 55 000 se 65000 hi hai) JAB TAK KI AAPKE ACCOUNT ME 5 LAKH Rs naa ho ... baat badi ajeeb lagati hai lekin mera Ganit to yahi kahta hai... aur Cash Market me bhi Nivesh aur Trade karte samay ho sake to KAM se KAM 1 lakh Rs. se Nivesh /Trade kare...
kyuki har jagah ki tarah yaha bhi SAARI BADI MACHHLIYA CHOTI MACHHLIYO PAR HI PALTI HAI....

PS: ho sake to kisi Retail Niveshak/ traders ke samooh ke sadasya ban jaaye jisase aapka partyaksh sampark ho... aur har 3-4 din me SEBI ki website par jaate rahe ( bhale hi yah kitni hi dheemi khule)
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

I found it very interesting :clapping::clap::thumb:


The only question there is:

1} what is RTI?
2} what is SEBI and what we can do here?

Gurus please guide


REGARDS
ravi:)
 
Last edited:

nifty

Active Member
#2
SEBI -- Stands for Security Exchange Board of India.
RTI -- Stands for Right to Information Act.

you can find more information on various links which you can find by googling words RTI + SEBI .

Happy Trading..
 
Last edited: